Description
Hanuman Amritwani is an "everlasting plasm" of reflection tune. It is frequently connected with an assortment of reflection plasms. On the off chance that you have explicit Hanuman amritwani section 1 as a primary concern, fans frequently recount or pay attention to these plasms during love or as a type of profound practice to look for gifts, security, and motivation.
to know more about this
shree hanuman amritwani part 1
hanuman amritwani part 1 lyrics
Bhakt Raj Hanuman Ka Sumiran Hai Sukh Kaar
Jiwan Nauka Ko Kare Bhav Sindhu Se Paar
Sankat Mochan Nath Ko Saup De Apni Dor
Chhategi Dukho Ko Pal Me Chhayi Ghata Ghanghor
Jab Kashto Ke Daitya Ko Lagega Bajrang Baan
Hogi Teri Har Mushkil Ghadiyo Me Aasan
Maha Dayalu Hanumat Ka Jap Le Manwa Na
Kaya Nirmal Ho Jayegi Banenge Bigde Kaam
Jay Jay Jay Hanuman Jay Ho Daya Nidhan !
Kapi Ki Karuna Se Man Ki Har Duvidha Har Jaye
Daya Ki Drishti Hote Hi Patthar Bhi Tar Jaye
Kalp Taro Hanumant Se Bhakti Ka Phal Mang
Aek Ho Bhitar Bahar Se Chhod Racha Niswang
Kiski Kaisi Manodasha Janat Hai Bajrang
Kyo Tu Girgit Ki Tarah Roj Badalta Rang
Kaante Bokar Har Jagah Dhundh Raha Tu Phal
Ghat – Ghat Ki Wo Janta Kyo Gaya Re Tu Bhul
Jay Jay Jay Hanuman Jay Ho Daya Nidhan !
Karuna Mayi Kapiraj Ko Dhokha Tu Mat De
Har Chhaliyo Ko Wo Chhale Jab Wo Khel Kare
Hum Hai Khilaune Mati Ke Hamri Kya Aukat
Tod Rakhe Ye Uski Marji Ki Hai Baat
Sadhak Ban Hanumant Ne Jis Vidhi Payo Ram
Bahut Nahi To Thoda Hi Tu Kar Waisa Kaam
Baith Kinare Sagar Ke Ki Motiyan Ki Aas
Dubne Se Man Darta Re Kaccha Tera Vishwas
Jay Jay Jay Hanuman Jay Ho Daya Nidhan !
Sukh Sagar Mahaveer Se Sukh Ki Aanch Na Kar
Dukh Bhi Usi Ka Khel Hai Dukho Se Na Dar
Bina Jale Na Bhatti Me Sona Kundan Hoy
Aanch Jara Si Lagte Hi Kyo Tu Manaw Roy
Bhakti Kar Hanuman Ki Yahi Hai Marag Thik
Manzil Pani Hai Agar Sankat Sahna Sikh
Bure Karam To Lakh Hai Bhala Kiyo Na Ek
Fir Kahta Hanumant Se Mujhe Daya Se Dekh
Jay Jay Jay Hanuman Jay Ho Daya Nidhan !
Jay Jay Jay Hanuman Jay Ho Daya Nidhan !